Main ek din usse mila
maine pooncha kya main tumhe pasand hoon
usne kaha yeh kaisa sawal hai
hamari tumhari is mulakat mein
pasand napasand kaha hai
maine to yeh socha hi nahi ki
tumhare bare mein mere khyalat kya hai
maine kaha phir milte hai
shaayad tab tum bata sako
main phir ek din usse mila
wahi purana apna sawal duhraya
kya main tumhe pasand hoon
usne kaha tum batao
maine kaha tum apni sunao
main apne khyalat is kagaz per likh deta hoon
phir dekhta hoon ki main kitna sahi hoon
usne kaha he mitra
ek sakha ke roop mein tum ati priye ho
lekin tum mere jeevansathi nahi ho
mera jeevansathi to kuch khaas hoga
aur woh khaas kam se kam tum nahi ho
phir usne mera jawab dekha
waha bus ek shabd likha tha 'nahi'
maine kaha chalo aaj ke party karte hai
main ek dost ko pane ki khushi manata hoon
aur apni parikhsa mein khud ke paas hone ko manana chahta hoon
usne kaha ki aur main
maine kaha he priye yah sawal hi ab bemani hai
bus ab aaj ki shaam kewal party manani hai
lekin main usse kah na saka
mere andar koi toot gaya
ek ahsaas, sapna sab khatam ho gaya
koi mere andar ko dabakar bahar khushi mana raha tha
mere andar koi dwand chal raha tha
koi kah raha tha ki tum kisi ke kabil nahi
tumne meri baat nahi mani
aur phir tumne dekh hi liya
tumhare liye andar ki duniya hi kafi hai
tumhe bahar ka ujala dekhne ki ijajat nahi hai
tumhari duniya kewal yeh tera andarman aur dil hai
bahar ki duniya mein tera koi moolya nahi hai
tum andar hi paradhin din hin raho
bahar ki duniya ko kewal mera hasta chehra hi dekhne do
jab bhi tum kabhi bahar aaooge
tumhe hardam isi tarah ki parajay hi milegi
aur main apne andar mein dooba hua yah soch raha
kab tak main apni icchaaoo tamannao ka daman karke
apne bahar ki duniya ko khush rakhoonga
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment