main tumse milna chahta hoon
milke main tumse kuch kahna chahta hoon
tumse milne ke liye nit naye bahane doondhta hoon
kabhi dost kabhi koi aur, main doosro ko doondhta hoon
main har bar chhipe hue ijhaar karta hoon
haa main tumse main milna chahta hoon
meri is bekrari ki koi seema nahi ha
meri is tadap ka koi ant nahi hai
phir bhi main tumse yah kahne se darta hoon
han main tumse milna chahta hoon
meri najar har jagah tumhe doondhti hai
mera man har bar kahta hai tum yaha aaogi
mera dil har bar mera saath chhodta hai
har jagah har pal woh tumhe doondhta hai
yaha tak ki ab main bhi badal raha hoon
andar se to tumhara tha
ab bahar se tum jaisa ho raha hoon
lekin phir bhi main tumse milna chahta hoon
tum mujhe roj milti ho mere sapno mein
tum mujhe is jaha mein kabhi na milna
haan mere sapno mein tum aati rahna
tumse milne ke baad shaayad main tumse aankh na mila sakoon
ya main itna khush ho jaoo ki main tumhe hi bhool jaaoo
mera sapna hakikat ban gaya aur main khud ko bhool jaaoo
yah sab tumhe shayad tumhe pasand aaye ya na aaye
isliye tum mujhse kabhi na milna
phir bhi main tumse milna chahta hoon
milke main tumse kuch kahna chahta hoon
haan main tumse milna chahta hoon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment